Suvrat: Pujaniya guruji, sadar pranam. Hum ek parikalpana ke barey mey Soch rahey hai. Yaha saptah mein ek din kisi ek vishay par manthan hoga jaha sthaniya vidvan upasthit rahengey. Kaun si vishey par charcha hogi voh ek saptah pehley ghoshit kar diya jayega taaki sabhi vidvan tathya sangrah kar sakey. Jaisey swachhata/ pradushan ka vishey ho ya bhakhshya-abhakhshya ho ya phir swavalamban ka vishey ho eisey charcha kartey kartey dheerey dheerey yajya karney evam Ved padhney ke anukul vatavaran utpanna hoga. Yaha dudh ka Bohot Abhav hai, ek gaushala kholney ke barey mey bhi charcha karna hoga. Yaha jo bhi ghatit hoga voh vedanukul hai ya nahi iska paramarsh aapsey letey rahengey. Yaha ek library ban raha hai, jab yeh ban kar prastut ho jayega tab hum aapkey aur maharshi ji ke grantho ko mangvaney ka prayatna karengey.

Guruji hum jo vichar kar rahey hai kya yeh uchit hoga aur yeh mansahari samaj is disha mey badhney ka sahas kar sakega, kripya vedmantro sahit margdarshan deney ki kripa karey. Aur yadi kisi prakar ki bhul huwi ho to uskey liye hum khama chahtey hai. App ke charno mey koti koti naman. Aapka shishya Suvrat
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son.

Aap jo vichar kar rahe hain aur prayatan kar rahe hain, yeh sarahaneeya hai aur aise shubh aur punnyavaan karmon se Ishwar prasann hota hai. Aap hamein batayein ki yeh shubh karya aap kaun se shahar mein kar rahe hain. Maansahari samaj ko ved marg par chalane ka sahas hamein karna hai, samaj to sahas nahi karta weh apnee masti mein rehta hai. Weh paap-punya ke phal se anbhigya rehta hai.

P: Swamiji I already wrote to you about my son‘s muscular distrophy which is incurable n it makes life span very less sooner or later his condition is going to detoirate and he will have pathetic life my heart really pains and I m full of tears everytime I see him my peace of mind is lost I have feeling that God will snatch my family from me. Please help me. I am in a miserable situation for how will I tolerate.
Swami Ram Swarup: Beti, really it is a heart-breaking matter, it is even unbearable. But when we study Vedas then we come to know that we have to bow down before the fundamental laws of God. In this connection, I paste my article below:-

Idea of Rigved mantra 10/135/1,2, 3, 4

Rigved mantra 10/135/1,2, 3 we’ve been blessed with the human body to face the result of our previous lives’ deeds – good and bad, in the shape of happiness and sorrows. When we’ve to face bad deeds then naturally everybody says that it is our bad luck but mostly people do not think that God has done justice and the sorrows/problems given by God is the result of our said deeds.

Further, the ved mantra 4 state that if a person makes contact with learned acharya of Vedas and yoga philosophy and becomes able to gain knowledge of Vedas and obey preach of Vedas then the effect of bad deeds is automatically destroyed and future becomes bright. Secondly, God helps those who help themselves. So, hardworking, devotion and dedication also makes future bright.

Rigved 10/135/1, 2, 3, 4 ka yahi bhaav hai ki manushya ka yeh janam pichhley janam ke kiye punnya paap karmon ka phal bhogne ke liye mila hai. To jitni deir punnya karma ka phal mahina, do mahina, saal ,do saal rahega, utnee deir tak to weh manushya, is janam mein kiye paap karmon ko karta hua bhi pichhley janam ka punnya phal sukh ke roop mein hee bhogega . Jab punnya phal ka time samapt ho jayega tab weh manushya paap karma ka phal dukh ke roop mein bhogega. Yeh ved mantra, yeh bhi kehta hai ki jo is janam mein hum paap karte hain uska phal dukh ke roop mein agley janamon mein bhoga jaata hai. Isiliye log zydatar yahi sochtey hain ki kitne hee insaan paap karma karte hain lekin sukhi dikhayee deite hain. Unhein yeh maaloom nahi ki weh pichhley janam ke kiye karmon ka sukh bhog rahe hain. Iska example Ravanna bhi hai ki jab tak uska paap ka ghada nahin bhara, usnein sukh bhoga aur jaise hee paap karne ka time khatam ho gaya uskee sone ki Lanka ujad gayee.

Doosree baat yeh hai ki Ishwar bhakti ke bina koi bhi sukh prapt nahi kar sakta. isliye jo insaan aaj pichhley janamon ke punnya phal se dhan –parivar aadi ka sukh bhog rahey hain, weh bhi yadi Ishwar ki ved anusar bhakti nahi karte to dikheinge to weh sukhi par mansik dukh unhein andar hee andar sataata hee rehta hai. Isliye ved kehte hain ki manushya ka yeh janam pakar vedon ke anusar Ishwar bhakti karte hue pichhle janamon ke dukh dene wale karmon ko nasht kiya ja sakta hai aur is prakar ek lambi sukhmayee aayu prapt kee ja saktee hai.

Yet, we should fight with the situation till the last breath. Really my heartiest blessings are always with your loving son.

Lakhan: Namaste ! I was having an argument with one of my friend who is your shishya! He keeps me saying about Sperm Preservation and its importance! But I dont get one thing! As per science, it is not mentioned. But as per my friend it is a great sin to be done! Can you please explain in details about it! Can you please clear all my doubts about it! Thank you!
Swami Ram Swarup: Namasteji. The universe has been created by Almighty God and accordingly God has provided us with knowledge of four Vedas, to follow, which is a constitution of creation. It is sad that nowadays people have oftenly forgotten the said Vedic preach. In Vedas, God has preached to maintain Brahmacharya, which is base of all human life. Brahmacharya enables us to get long, ill free happy life. Said subject is vast and therefore cannot be explained here. You are therefore required to study my book “Brahmacharya Dukh Nivarak Divya Manni” worth Rs. 100/- excluding postal charges. The book can be sent to you on receipt of your postal address, if you desire. Book will give you immense knowledge.