Yash: Pranaam swamiji ,sadar charan sparsh.swamiji kuch vyakaran se related prashn the. .Q1) Swamiji मातृ ,माता ,माँ in शब्दो का धातु ‘मा’ है या ‘मान्’?? .Q2) Swamiji kuch log ‘मान्’ को भी धातु बताते है ।इसका कारण वो यह देते है :मान् पूजायां तृच् न लोपः। स्वामीजी क्या यह ठीक है??स्वामीजी अगर यह ठीक है तोह यहां न लोप किस सूत्र से होगा??नकार का लोप कैसे हुआ?
Swami Ram Swarup: Maatri pad kee is tarah utpatti hai:-

Maa+trich = Maata.

Anonymous: Swami jee pranam karta hun? Swami jee pranam mera prshna hai ki agar kunti ne surya dev ke sath karna ki utpanti ki to fir bad me unhone surya dev ke putra dharmaraj arthat yama ke saat putra (yudhitra) ko kyun utpan kia? kya ye vyabhichar nahi hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you.Yudhishthir putra ka utpann hona itiyadi yeh sab Kunti kee ichchha par nirbhar tha. Use jaisa achcha laga usne waisa kiya. Karan ke utpann hone mein to kewal Kunti kee hee ichchha thee parantu Yudhishthir ke utpann hone mein Kunti aur Kunti ke pati Pandu donon kee ichchha thee.

Anonymous: Swami jee pranam aapne kaha ki draupadi ka ek pati yudhisthira tha? To Draupadi ke putra kitne the? Aur kya unke pita Yudhisthir the?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Draupadi ke paanch putra the aur unke pita kewal Yudhishthir hee the.

Puneet: Swami jee pranam karta hun? Swami jee charan sparsh? Swami jee mera niyog se related question ka answer dene ke lie dhanyvaad? Parentu swami jee aap mere shanka sammjie nahi? Mera puchna ye tha ki agar chote bhai ki patni daughter in law jaise aur bade bhai ki patni guru patni jaise to niyog kasie sambhav hai (Manusmriti 9.57)? Swami jee aap batyein kya koi daughter-in-law our guru patni ke sath niyog kar sakta HAIN? Kya fayda wise santan ka?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Niyog ke vishaye maine hamesha yahi uttar diya hai ki niyog ka prayog vedon ke gyata aur Brahmachari-Brahmachariniyon tak hee seemit tha parantu is yug mein vedon ke gyata purush aur naariyon kee nitaant kamee hai. Iska prayog is yug mein theek nahi aur yeh mera swayum ka vichaar hai. Niyog ka prachalan pichchley yugon ke vidwanon aur vidushiyon mein tha. Ismein koi shak nahi ki manusmriti 9/57 ke anusaar bade bahi kee patni guru maa aur chote bhai kee patni putra vadhu ke samaan hotee hai. Parantu ved mein jahaan niyog ka prayog hota hai wahaan yeh relation devar shabd ke anusaar grehan kiya jaata hai. parantu jaisa maine kaha yeh punnyawaan karma vedic kaal mein hee uchchit hai avedic kaal mein nahi.