Sagar: Swamiji pranam ..!! swamij i clearly understand as per vedas asans are learned to achieve the goal of samaadhi…and not just physical benefits.but is it possible to know the PHYSICAL benefits of the following asans just for knowledge? PAWANMUKTHASAN, UTTANDPADASAN PASHCHIMOTASAN, HULASAN SARWANGASAN ARDHMATSYENADRAASAN PADMAASAN VAJRAASAN.
THANK YOU SWAMIJI..
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Pawanmuktaasan:-Discharge stomach gas and is beneficial in gastric trouble.
Uttanpadasan:-It is also beneficial for stomach diseases/digestive system.
Pashchimotanasan:-Beneficial in breathing system and stomach.
Hulasan:-Purification of blood, Increases memory.
Sarwang:- Increases memory and beneficial for spinal cord.
Ardhmatsyendraasan:- control sugar.
Padmasan:- Purify the legs vein, beneficial for stomach.
Vajraasan:-it is also beneficial for gastric problem and makes the body strong like stone.

S S: Swamiji Sadar Charansparsh. swamiji hame saririk kast kyun milta, Main teen sal se saririk kast jhel raha hoo aur ab mujhe sugar bhi ho gayee hai.Mai janana chahatu ki maine kaun sa pap kya hai jo mujhe bhimari huee.Me bahut ilaz kara chuka hoo lekin abhi tak theek nahi hua hoo.Mujhe aur kab tak saririk kast jhelna padega, kyon ki ab meri himmat toot gaee hai,kripya mera marg darshan kare.Main vedic vichardhara ka hoo aur dono time sandhya bhi karata hoo SwamiDayanad Sarswati ji ke dwara batai gaee mantro ke anusar.
Swami Ram Swarup: Sharirik kasht or dukh iitiyadi pichle jaham ke kiye karmon ka phal hee hota hai. Lekin is manushya sharer ko paakar koi bhi sadhakk apne pichle bure karmon ko vedic sadhna ke dwara nasht kar sakta hai aur ek lamba sukhi jeevan vyateet kar sakta hai. Manushya shareer pakar insaan kabhi nirash na hoye yeh dharma ka pehla lakshan hai. Ishwar uski madad karta hai jo dairyawan hai aur mehnati hai. Ye kushi kee baat hai ki aap dono time sandhya karte ho.ab aapko kucch asan aur prannayam va dhyan avashya seekhna chahiye jissey aapko mansik aur shaareerik Shakti milegi. Issey rogon par bhi control hoga. Vedon mein bhi kaha hai ki rogi doctor se dawai avashya lei isliye ved kee agya maanein aur ilaz bhi karvaate rahein. Dhairya rakhein, Ishwar madad karta hai.