Kunal: Sadar charan sparsh swamiji. Swamiji ved, brahman granth ,aranyak,upanishad ,nirukt ,nighatu ityaadi vedic vyakaran shastraon mein kahan kahan ‘मातापितरौ’ shabd aata hai? Swamiji iss shabad ka sabhi grantho mein kahan kahan upyog hua ved ,brahman granth ,aranyak , upanishad, shaddarshan ,nirukt ,nighatu aur anya vyakaran shastron mein?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Matapitrau shabda to anek jagah aata hai jiskee ganna nahi kee ja saktee.

Jugalpreet: Sat sri akal babaji…Apke charno me koti koti pranaam.. Babaji guru granth sahib ji or vedas ek hi hai kya??? Jo updesh vedas me hai vahi updesh guru granth sahib ji me hai kya?
Swami Ram Swarup: Ashirwad beti. Guru Granth Sahib ke bahut se updesh vedon se milte hain. Jaise “Ek Omkar Satnaam” to yahi updesh ved ka hai- Eko Brahma arthat Ishwar Ek hai aur Satyam Brahma arthat Ishwar Satya hai etc. Guru Granth Sahib mein yeh bhee Guru Maharaj ne kaha hai – “Omkar Ved Nirmaye” arthat Ek Omkar (Parmeshwar) se ved nikle hain itiyadi.