Sid: Pranam Guruji Guru ji Thanks a lot for answering my previous doubt. It has really cleared a very faulty conception of mine. Guru ji I have understood that God is my father and he would never want that I should not study.

2. Guru ji I am again sorry because I am asking a further doubt extending from the previous answer . Guru ji today was one the most important exam of my academic life but I could not do well because even during the exam I was thinking about the doubt only and was feeling very upset . Please guide so that I can immediately move out of this illusion.

Guruji you may be angry on my idiotic doubts but I have no other place to go and seek true knowledge.
Guru ji I have told you previously that my family do daily Havan in morning and I join them whenever I can. About a decade or so back I took NAM with vedic tradition. Now to my doubt Guruji you told me that ki- aagar kisi ka padaee main bilkul bhi maan nahi lag raha hai to ya to wo uske pichle janam ka phal hai ya to wo aalsi hai.

Guruji waise to mera bhaut maan karta hai ki main padoon. Maine aapko phele bhi bataya hai ki I have been a topper in my state and had immense concentration in my studies I still do immense hard work . But Guruji I am really really sorry but ab MERE MIND MAIN YEAH BAAT BAITH GAYI HAI KI MERE PICHLE KARMOON KE ANNUSAR MERA MAAN PADAEE MAIN NAHI LAGGE GA .

Even during my exam I was thinking agan and again same thing and getting disturbed and I ruined my exam.

Guru ji main khud hi sooch raha hoon aur khud hi pareshan ho raha hoon. Jab beech main main apni padai main khoo jata hoon aur aapke kahe is baat ko bhool jayta hoon to main wapis padaee main lag jata hoon lekin jaise hi yeah vichar yaad aata hai main fir se pareshan hoon jata hoon . Kyunki main phele bhi apni hi kisi na kisi banai uljaan main khud hi fasa rehta hoon aab to lagta hai ki aadat hi pad gayi hai .

Guruji agar maine T.V dekhna hooga ya soona hoga to sab theek rehta hai. Lekin jaise hi padne baithta hoon aisa koi na koi vichar (KI MERE PICHLE KARMOON KE ANNUSAR MERA MAAN PADAEE MAIN NAHI LAGGE Ga) aajata hai aur main pareshan ho jata hoon aur haar se maan leta hoon.

Aisa nahi hai ki pad nahi pata agar koi novel padni hai ya koi aur mazedar cheez padni hai to turant dimaag sab bhool jata hai ya is bat par dhayan nahi deta lekin padne ke samay phir se yeahi khayal aa jata hai aur bas main pura samay apne khayal ko hi hata ta rehta hoon.

2. Guruji agar main maan bhi loon ki yeah sahi ki — mere pichle karmoon ke annusar mera maan padaee main nahi lagge ga— to phir to mere student life ka koi matlab hi nahi raha maine aaj tak job hi padaee ki wo bekar hai kyunki maine jis kaam ke liye itna pada wahan aakar to muje aapne aap se hi bharoosa khata ho gaya hai. Likin aapne muje pichle answer main maan aur bhuddijo ki mere sath hota bhi hai jab main aise kisi baat ko bhool jata hoon.

3. Guruji aur agar main baat ko hi satya maan loon to mera to jeena hi bekar hai kyunki mera to khud par hi koi control nahi hai … main panda chata hoon lekin mere karmon ke karan main pad nahi sakta. Guruji I request you ki aagar karmoon ke karan hai to muje annda kar diya jayee lekin mere maan ko to mere control main karne ki annumati de dejiye.

Please guru ji clear this one more doubt. Guruji yeah doubts kabhi khatam bhi hoon ge aur aatma ka gayan diya hai, to kya us gayan ke bal par main fir se aapne maan par control nahi paa sakta aur padaee shroon nahi kar sakta, matlab ki guruji muje bas is vichar se mukti pani hai ki — mere pichle karmoon ke annusar mera maan padaee main nahi lagge ga— please guruji aap hi muje yeah batlayeen ki mera yeah sochna galat hai , kyunki mera dhayan to yeah vichar hi thod raha hai na ki mera maan matlab ki aagar muje yeah bat pata hi nahi hoti to main to aaram se pad raha hoota . I am feeling very down because know I am being stupid but I still want your guidance in it.

Please Guruji guide me out of this mess once again.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. You are welcome, please.

This must be assured that at a time only one problem is to be solved. This requires concentration of mind. So, the fickle-minded person can never get success. Your priority was to solve the question in examination hall and not to think about other matter. Yeh psychological effect jo hai, weh baseless hai ki tumhara mann pichhley janamon ke karmon kee vajah se padai mein nahin lag raha. Kyunki havan purusharth karne se, pichhley janamon ke karmon ka effect samapt hota jaata hai. Yeh to aapka issee janam ka alasya hai, purusharth aur ashirwad se is alasya ko tyag do aur aagey bado.

Aur phir vidyarthi/student ka dharma toh padna-likhna, vidya prapt karna hee hai. Aap apney dharma par chalo, T.V dekhna aur sona toh tamogunn kee bahut hee khatarnaak neeshani hai. Yeh student ko achchee nahin lagnee chahiye. Isse tarah novel aadi bhi indryon ke gande vishaye hain. Han! Achchey novel padne chahiye.

Tumhara yeh manana galat hai, upar maine samjha diya hai ki padai na karna pichhley janam ka phal hai. Mehnat karo, aagey bado. Har ek ke paas Bhagwan nein manushya yoni mein yeh power dee hai ki weh apney mann, buddhi aur indriyon ko control kar sakta hai. Woh power tum mein bhi hai. Isliye alasya aadi ko chhod kar mehnat karo aur aagey bado.

V: Pranam Guruji, Guruji yadi havan mokhik roop se karna pade to kya kuch galat hai?
2. Guruji yadi dhayan main raat ko sone se phele baithoon to kuch galat to nahi ho ga na. kyunki shaam ke samay ya to main bahar hota hoon aur aas pass bhi kafi shoor hota hai.
3. waise guruji jab bhi aise hi office ya koi kaam karte samay time mile ya aacha na lag raha ho to dhayan main baitha ja sakta hai na is main kuch galat to nahi ho jayega na ki main kurssi par baith ke hi dhayan lagane ki koshish kar raha hoon.
4. Has GOD empowered us to control our dhayan or focus on the right thing.
5. Aapne uupar bharoosa rakhna kya galat baat hai. mera puchne ka matlab self confidence to hoona hi chaiye na.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son.

1. Agar sthan, samay aur vatavarann kee suvidha naa ho tabhi maukhik havan kiya ja sakta hai.

2. Soney se pehle dhyan mein baithna bilkul theek hai. Waisey dhyan subah sham ka hee achha hota hai. Han! Beech mein bhi agar ekant ka samay miley to dhyan lagaana chahiye kyunki dhyan ekant mein hee lagaya jaata hai.

Human-being has been blessed with human body to realise God. Now, the soul is free whether soul follows spiritual path or bad path but result is awarded by God. So, God has nothing to do to focus on right thing etc. Yes, self-confidence hona chahiye, achhee baat ke liye, galat baat ke liye nahin aur apne par bharosey ka matlab hona chahiye ki hum ved marg par chal kar yeh realise kar lein ki hum chetan, shudh, avinashi jeevatma hain, shareer nahin hain.