Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी मकर संक्रांति के दिन सूर्य मकर राशि मे प्रवेश करता है इसलिए लोग इस त्योहार को मनाते है व इस दिन दान पुण्य करते है।गुरुजी मकर राशि मे प्रवेश करने पर इसे त्योहार के रूप मे मनाए जाने का क्या औचित्य है।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Vedic culture mein toh iska praaniyon par koi prabhaav nahi padta. Waise yeh Ishwareeya rachna hai. Issey saare planets apni-apni kaksha mein theek-theek karya karte rehte hain jis karann din, rituyein aur bhi bade-bade karya prithvi par hotey rehte hain.

Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी क्या वृहक़दारण्य उपनिषदमे ऐसा उल्लेख है कि मरने के बाद आत्मा पांचो अवयवों मैं होती हुई जैसे पहले दिनपृथ्वी फिर वायु,इसी क्रम मे पांचवे दिन आकाश मैं जाकर फिर पृथ्वीपर लौटकर नया शरीर धारण कर लेती है।आजकल यूट्यूब पर एक चैनल द्वारा
सही जानकारी देने व वेद विद्या के प्रसार हेतु कुछ जानकारीवर्धक वीडियो अपलोड किए जाते है।आपसे काफी जानकारी प्राप्त होने के कारण मुझे जोसमझ आया है उस अनुसार काफी बातें तो वह सही बताते है पर यह बात वेदो से कुछ अलगलगी इसलिए प्रश्न आपको भेज रही हूँ।
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Shareer ko dead tabhimana jata hai jab jeevatma shareer se nikal jaye.Yajurved adhyay chalees keanusaar jab shareer se jeevatma nikal jaatee hai tab panch bhautik shareer kepratyek bhoot arthat agni, vaayu, jal , aakash,prithivi apne-apne karann roopse mil jaate hain. Jab yeh jeev shareer chhodta hai tab pehle din surya, doosredin agni, teesre din vaayu, choothe din aaditya, panchvein din chandrama,chhadhe din ritu, saatvein din
manushya aadi pranni, aathvein din sukshmavaayu, navmein din prann, dashmein din udaan, gyarahavein din vidyut aurbarahavein din sab gunnon ko prapt karta hai. Tatha kuchh samay bhramann karkekarmanusar garbhashay ko prapt hota hai tatha sukh-dukh aadi bhogta hai. IsliyeBrihadarannayak Upnishad mein Rishi ne jo kaha hai weh ho sakta hai Rishi keerahasmayee vanni ho, ayatha ved to pramann hain aur upar jo likha hai wehYajurved ka pramann hai. Beti yeh aap bhi jaantee hain ki prithivi par pehle ved prakat hote hain isleye ved heesatya hain
aur ved hee pramann hain.