Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी जो हवन के बाद तेजो असी तेजोमहो धेहि आदि बोलते है उसका क्या अर्थ है धेहि शब्द है या देहिं।मन्यु असी मनुमहि धेहिका क्या अर्थ है।कुछ लोगो से सुना कि मंत्र सिद्धि की जाती है।क्या ऐसा भी है।गुरुजी अभी आपने जो कही और किसी की पर दादीजी जी के लिए हवन किया था उसमें आपके प्रवचन सुने बहुत अछा लगा भजन सुनना भी।गुरुजी उसमे आपने एक जगह बताया कि शिव तो त्रेता मैं आये थे।क्या आपने ने उन्ही शिव का उल्लेख किया जो बाल्मीकि रामायण सुनाते मे आपने बताया था कि वह एक शिव ऋषि की कुटिया होने का उल्लेख है।
Swami Ram Swarup: Tejo Asi… ka arth hai- Hey Prabhu! Aap mein tej hai, weh tej mujh mein bhi dharann karo. Issee prakaar anya arth hai jaise Manuhu Asi… arthat Hey Prabhu! Aap dushton ko dand dene ke liye krodh karte ho to main bhi dushton ko dand dene ke liye krodh dharann karoon kyunki bina krodh dharann kare, dushton ko dand nahi diya jaa sakta. Mantra aadi kuchh nahi hai, bus kewal der tak abhyaas karne se, asan-pranayaam aur adhyayan karne se ved mantron ka sampoorna gyan ho jaata hai, issey hee siddhi kehte hain aur koi siddhi nahi hotee ya phir yogi ko Anima, Garima, Mahima, Laghuma, Ishisht, Vishishth, Prakamya, Prapti aath siddhiyaan prapt hotee hai. Nahi! Maine pehle hee keh diya tha ki katha jhoothi hai, kaalpanik hai par usmein gyan satya hai ki Ishwar dhan aadi ka daata hai koi anya artificial devi-devta nahi.