Neelam: Swami ji namashkar, aapki bahut kripa aapne mere prashno ka uttar diya. Swamiji kripa ker mujhe aap apni pustak” MRITU” kripa ker mujhe bhej de.
Swami Ram Swarup: Mera tumhe ashirwad. You are always welcome. The book is being sent to you.

Raavi: Guru ji apko mera sat sat naman jo ravan ke bare mein meine sanshaya tha uter padh ker door ho gya. Vedon ke vishye mein swapn mein bhi kabhi sanshaye ni ker sakta agr mujhse koi galati hui ho to bhut maafi, mein ye jaanta hun jaada na meine abhi in vishyon mein adhyan kiya hai per jo bhi janane ki jigyasha hoti hai pahle aapse pooch leta hoon. Ye ravan ke bare mein isaliye poocha tha kyunki kayee baar koi baat chalti hai to log kahte hain ke ravan bhi to bhut bada gyata tha to usake sath aisa kyun hua issliye ye baat aapse poochee ab mein ye baat un sab tak ache se pahunchayunga taaki unka ye bhram bhi door ho sake.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. You are always welcome. You can send as many as questions you want to ask. You can send your query anytime .It is also mentioned in Vedas that an aspirant is entitled to put query before his learned acharya to clear his doubts and then become a learned himself.