Shamina Rashid: What do Vedas say about Rebirth?
Swami Ram Swarup: Yes, Vedas state that rebirth exists in the universe. In this connection, I paste my article in this regards:-

Rebirth and different yonis

Idea of Yajurveda mantra 39/6 is that after leaving the human body, the soul goes to several matters in the space etc., and then according to good or bad deeds takes next birth. Yajurved mantra 39/7 states that those souls who do sins they take birth with violent nature like wolves, bear and those who give fear to others in human body, they take birth in body with dangerous nature like crocodiles, poisonous snakes, tigers, lions, wild boars etc., those who give fear to others, they will be of timid nature also like rabbits, deer etc. Those who give justice and make others fearless, they will take next birth in a fearless nature. Those who are indulged in illusion, they will take birth in a place where the atmosphere will be full of illusion (Yajurveda mantra 40/3 also refers).

Those who are learned Yogis but are not yet attained salvation, they will take next birth in a place where there will not be any illusion but divine enlightenment. Those who have not controlled their five senses, five perceptions and mind then in the next birth they will be of restless nature. But those who have controlled their senses etc., will be of calm, peaceful nature. Those who have followed eternal knowledge, they will also be of peaceful nature in the next birth.

Atharvaveda mantra 9/10/16 states that those who are not learned in this birth, they will get the birth as “sthavar” rooted plants etc., as birds and as animals etc., and those who are learned they take next birth as rishi-munis. So the soul based on his sins or pious deeds takes birth in upper class or lower class. The above said Atharvaveda mantra also states that the soul in the human body knows each and everything that is each outer matter of the world but due to involvement in illusion, soul does not know himself.

As Manusmriti states in shlok 1/43-46 the soul according to deeds takes birth as animal, non-violent deer etc., carnivores like tiger, leopards etc., devils, human beings. The said are of “jarayuj” type i.e., those who take birth from their skin i.e., tissue. Soul takes birth as “undaj” type i.e., those who hatch from eggs like birds, snakes, crocodiles, fish, tortoise, etc. Soul takes birth in “Swedaj” type i.e., those who take birth from sweat, humidity, moisture, for-example, lice, mosquitoes, flies, bed-bugs, etc.

Soul also takes birth in Udbhij i.e., who takes birth from within the earth like plants who emerge from seeds etc., and are stable at one place like trees etc. So there are four above quoted main origin (yonis) of which the total number comes as 84 lakhs.

Subtle body means when soul leaves the body, it has its subtle body i.e., five prann (vital airs), five organs of senses, five sukshma bhoot, mann and buddhi.

Based on the previous lives’ deeds, the soul gets rebirth either in human body or that of body of animals, birds etc. Rigveda states that without arguments and putting forth questions to learned acharya, the truth can’t be established, that is why, Arjun put forth several questions to Sri Krishna Maharaj and in Upnishads, the followers of Rishis did so. Otherwise, in Sankhya Shastra sutra 3/81, Kapil Muni states-
“itrathandhparampara”

i.e., the traditions of blind faith spreads. So, religion should not be converted into a blind faith. No rishi has failed to describe the matter of life after death, please. Because the topic is clearly mentioned in four Vedas and Upnishads and you see, the ancient and present Rishis are learned of Vedas and do practice of Ashtang Yoga Philosophy. So they know about present birth, previous births and rebirths in future or salvation. It requires listening of Vedas from an acharya. However, ordinary people do not know about previous births, present birth or future in present life or after rebirth etc. No experience can be gained after death, please. It is always gained in present life.

In this connection, based on the philosophy of Vedas, Kapil Muni states in Sankhya shastra Sutra 3/78 that if the experience of realization of God and salvation etc ., is not gained in the present life, then we would not be able to listen the true preach from any experienced Rishi/Yogi and mere bookish knowledge is of no use.

Yajurveda mantra 7/4 also state that rishi/Yogi should get experience of realization of God in present life to protect ‘Som’. Som means experience of divine pleasure after the realization of God/salvation etc.

Actually, most of the false prophets have spread falsehood and we are indulged in illusion. For the last more than four thousand years, we’ve not been able to listen Vedas from Rishi-munis and hence the problem. Man cannot describe the period between death and birth. That is why, Vedas tell about three stages of a soul- who takes birth in human body – when a baby takes birth from mother, he is said to be in Manushya Yoni i.e., ordinary person; when he grows up and is attached with learned acharya of Vedas and Yoga Philosophy and takes Vedic Deeksha from him and thus himself becomes learned of vedas while discharging family duties just like Sri Ram, Mata Sita ancient Rishi-munis etc. then he is stated to be in “ Dev/Devta” Yoni. In case of woman, she is “Devi”. On the contrary when he makes contact with bad society and commits sins etc., then he is said to be in “Asur Yoni” i.e., devil. So there are three Yonis of a person: – (i) ordinary man (ii) Dev or Devta/Devi (iii) Rakshasa/Devil.
Only in dev/Devta yoni, the learned becomes able to know the period between death and birth, by virtue of listening to Vedas, doing name jaap of God, daily Yajyen/hawan and hard practice of Ashtang yoga Philosophy under guidance of a learned acharya.

Yes, everybody must be brave, hard worker, honest and should do deeds i.e., discharge his moral duties but problem arises when a person decides about his braveness, hardworking, honesty, worship and doing of deeds (moral duties) at his own, which is called illusion. Because in the absence of eternal Vedic knowledge, how has he known his deeds, honesty, donation to poor, help etc? So, one must make contact with learned acharya to listen Vedas and know about duties etc., as quoted above.

Ankit: Respected sir. Please accept my regards.guru ji mai karmo ke do pahalu ko dekh kar confuse hoo.ek Hi karma kisi ek ki najar me dharma aur doosre ki najar me paap ho jata hai.fir mai samajh nahi pata ki wo nyaykari ishwar nyay kaise karta hai.Maine yehi sewal bahut logo se poocha per satisfy nhi hua.vedo me ishwar ko mehan nyaykari betaya hai so plz give the answer of this query: 1:-sir pandevo ne bhale hi dharma ke liye yuddha kiya per apne pitamah,guru,aur pitra tulya ristedaaro ka vadh bhi kiya jo ki ved viroodha hai.for bhi unhe moksh mila.aisa kyu sir? (2):bhagwan mehaveer aur gautam Buddha jo ki anishwarvaadi the aur vedo ka khandan bhi karte the.unhone apne grihasth jeevan ke dayitwa bhi nhi nibhaye.fir bhi unhe salvation kaise mila.(3):-guru ji jb bharat ji shriram se Milne panchwati jaa rahe the TB unhe shatru aur kutil samajh kr laxman ne unhe maarne ka sankalp liya.perantu satya ka gyan hone per unhone aisa nhi kiya.jabki raghukul kabhi bhi apne vacheno se vimukh nhi hota tha .to bhi unhe koi paap nhi lega.aisa kyu guru ji?saath Hi agar koi sadharan purush bhi agyaneta vash ya for bhay wash koi sankalp le aur baad me samejhenge ki ye sankalp uchit nhi.to agar wo is sankalp se vimukh hota hai to bhi galat aur iska palen karta hai to bhi uchit nhi.fir ishwar kis prekar se aise vishay me nyay karega guru ji.plz mention if any ved mentra is related to justify these facts. God bless you guru ji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Ek hee karma kisi ek kee nazar mein dharma aur doosre kee nazar mein paap ho jaata hai, is par Ishwar ka nyay ya niyam nahi tika hua. Ved kee nazar mein jo punnya hai, weh punnya hai aur jo paap hai weh paap hai. I paste my article –

Dharma ka rehasya bahut hee gambhir aur rehasyamayee hai. Iske vishaye mein main aapko apney dwara likhee pustak-Vedic pravachan sangrah-I padne kee advise karta hoon. Kyunki yeh vishaye vistaar se yahaan samjhayaa nahin ja sakta. Thode se mein yeh samajho kee jaise Manusmriti shloka- 2/6 aur Bhagwad Geeta shloka 3/15 mein kaha ki Dharma Ishwar se utpann Vedon se banta hai, insaanon se nahin aur dharma ka arth hai- Kartavya karma jinko Yajurved mantra 40/2 ke anusaar karne se jeev arth, dharma, kaam, moksha prapt karta hai aur paap karmon mein lipt nahin hota. Ved-shastron mein dharm ko Hindu, Mulim, Sikh, Christian aadi nahin kehte. Insaan vedon se apne kartavya karma samajhe aur karey. Isee mein bhalayee hai, insaanon ke bataye dharma-karma mein andhvishwas, thothe-karma kand, brashtachaar, swarth, vyabhichaar anek buraiyan hain, inse bachne ke liye Ishwareeya gyan-ved par chalein. Sabse zaroori baat yeh hai ki insaan aaj moh-maaya, kaam-krodh sansari chamak aadi mein yeh bhool gaya ki uska janam Ishwar prapti ke liye hua hai. Vedon ke anusaar weh janam-mrityu ke rehasya ko naa jaankar apne aapko aaney wale janamon mein aur issee janam mein bhi maha dukh ko prapt hota hai.

10/135/1,2,3,4 ka bhaav hai ki manushya ka yeh janam pichhley janam ke kiye punnya paap karmon ka phal bhogne ke liye mila hai. To jitni der punnya karma ka phal mahina, do mahina, saal ,do saal rahega, utnee deir tak to weh manushya, is janam mein kiye paap karmon ko karta hua bhi pichhley janam ka punnya phal sukh ke roop mein hee bhogega . Jab punnya phal ka time samapt ho jayega tab weh manushya paap karma ka phal dukh ke roop mein bhogega. Yeh ved mantra, yeh bhi kehta hai ki jo is janam mein hum paap karte hain uska phal dukh ke roop mein agley janamon mein bhoga jaata hai. Isiliye log zydatar yahi sochtey hain ki kitne hee insaan paap karma karte hain lekin sukhi dikhayee deite hain. Unhein yeh maaloom nahin ki weh pichhley janam ke kiye karmon ka sukh bhog rahey hain. Iska example Ravanna bhi hai ki jab tak uska paap ka ghada nahin bhara, usnein sukh bhoga aur jaisey hee paap karne ka time khatam ho gaya uskee sone ki Lanka ujad gayee.

Doosree baat yeh hai ki Ishwar bhakti ke bina koi bhi sukh parpt nahin kar sakta. isliye jo insaan aaj pichhley janamon ke punnya phal se dhan –parivar aadi ka sukh bhog rahey hain, weh bhi yadi Ishwar ki ved anusar bhakti nahin karte to dikhinge to weh sukhi par mansik dukh unhein andar hee andar sataata hee rehta hai. Isliye ved kahte hain ki manushya ka yeh janam pakar vedon ke anusar Ishwar bhakti karte hue pichhle janamon ke dukh deney wale karmon ko nasht kiya ja sakta hai aur is prakar ek lambi sukhmayee aayu parapt kee ja saktee hai.

Isliye main aapko yeh advise karoonga ki vedic aadhaar par neeche likhee vedic pustakon mein se kuch books aap padein jo aapko bahut gyan deingee. Agar aap chahein toh postal address bhejkar books manga sakte hain.

List of books is appended below, please —–
S. No. NAMES OF BOOK COST PAGES

(IN HIND
I)
1. PATANJAL YOG DARSHAN PT I 131.00 332
2. PATANJAL YOG DARSHAN PT II 300.00 295
3. VEDIC PRAVACHAN SANGRAH(Reprinted) 120.00 118
4. VEDIC SATSANG SANGRAH PT II 12.00 29
5. MANAV DHARAM SHIKSHA 21.00 88
6. ATMIK UDGAR 51.00 42
7. DIL SE DIL KI BAAT 21.00 20
8 YAJ KARAM SARVSHRESHTH ISHWAR POOJA 65.00 132
9. BRAHAMCHARYA DUKH NIVARAK
DIVYA MANNI 100.00 173
10. MRITYU EK KATU SATYA 20.00 63
11. BHAJAN KIRTAN 40.00 64
12. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC RAHSYA (CHAP. 1-6) 400.00 739
13. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC REHASYA (CHAP. 7-12) 400.00 594
14. SANDHYA MANTRA 25.00 33
15. VEDIC PRAVACHAN SANGRAH PT II 120.00 124
16. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC RAHSYA (Chap. 13-15) 250.00 246
17. NAARI DUSHKARMIYON
PAR VEDON DWARA DAND 25.00 38
18.VEDON SE MRITYU REHSYA JANO 140.00 101

(IN ENGLISH)

1. VEDANTA & ETERNAL VEDAS’
PHILOSOPHY PT I 31.00 77
2. VEDANTA AND ETERNAL VEDAS’
PHILOSOPHY PT II 20.00 92
3. YOGA A DIVINE VEDAS PHILOSOPHY 65.00 123
4. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. I 80.00 190
5. PROTECT THE HOLY COW, SAY VEDAS 40.00 58
6. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. II 121.00 279
7. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. III 100.00 126
8. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. IV 100.00 154
9. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. V 140.00 104
10. VEDIC PUNISHMENT FOR CRIMINALS 25.00 54
(Women offenders)
(IN OTHER LANGUAGES)
1. VEDA – DIVYA GNANA (translated in Kannada)
(Originally in English as vedas a divine light Pt. I) 120.00 202
2. VEDAM–VAAZHVIN VAZHIKATTI
(Translated in Tamil) 120.00 218
(Originally in English as VEDAS A DIVINE LIGHT PT. I)
3. VEDA – DIVYA GNANA (translated in Kannada)
(Originally in English as vedas a divine light Pt. II) 100.00 111
4. PROTECT THE HOLY COW, SAY VEDAS
(Translated in Tamil) 50.00 68
5. VEDANU DIVA GYAN (Translated in Gujrati)
(Originally in English as VEDAS A DIVINE LIGHT Pt.I) 120 178

LIST OF CASSETTES & CDs Sung by Swamiji
1. SANT VANNI CASSETTES (PT 1-8) 35.00 EACH
2. BHAJ GOVINDAM CASSETTE 35.00
3. VCDS VEDOIN KEE CHHAWON TALE PT1&2 50.00 EACH
4. ISHWAR KEE AWAZ SUNO (ACD) 36.00
5. SAB MEIN VYAPAK JYOTI EK (ACD) 36.00
6. SANT VANNI PT. 1-4 (ACD) 35.00 EACH
7. VALMIKI RAMAYAN (ACD) 36.00
8. ISHWAR BIN SUKH NAHIN (ACD) 36.00
9.SARVAVYAPAK ISHWAR MAHIMA SUNO(ACD) 36.00
10. SAB GOBIND HAI (ACD) 45.00
11. AMRIT VANNI VED (ACD) 36.00
12. BHAJ GOVINDAM (ACD) 35.00
13. VED VANNI KE UPDESH (ACD) 36.00
14. PRABHU SA KOI NA DOOJA (ACD) 30.00

(1) Pandavon aur Arjun ke vishay mein aapko pehle hee answer de chuka hoon.

(2) Jo ved marg par chalte hain unhein vedanusar salvation ka gyan hai. Jo mat-matantron aur manushya ke banaye marg par chalte hain unko unkee salvation kee definition apne-apne mat ke anusar hai. Jiskee jo ichchha hai, uspar chale. Han! Ved Ishwareeya vanni hai aur mazhab insaan ke banaye hue hain.

(3) Aapka answer spasht hai ki misunderstanding mein kuchh bhi ho sakta hai aur jub sachchai pata chaltee hai to sub kuchh theek ho jaata hai. Sankalp achchhey karma ka hota hai, burey karma ka nahi hota aur achchhai-burai mein nirnaya sanshaya mitne ke baad hee haota hai. Maano koi kisi ko pyar ke jaal mein phansa kar doodh mein zahar de raha hai aur zahar peeney wale prem se usey peeney ke liye tyar ho jaata hai parantu peeney se pehley koi achanak usey kehta hai ki doodh mein zahar mila hai. Tub kya doodh peeney wale, apney pehle nirnnaya par hee atal rahega aur doodh pee lega. Aapke prashan ka uttar upar de diya hai. Upnishad kehtey hain “ satyam vada dharmam chara”

Arthat vedon mein varnnit satya he bolo aur vedon mein varnnit shubh karma hee karo. Yajurved ke pehley mantra mein spasht kiya hai ki Yajyen sarvashreshth karma hai kyunki Yajyen mein jaakar vedon ke gyata vidwan ke vachan sunkar unse tark-vitark karke satya sthapit hota hai.

Atah aap bhi Yajyen mein jana prarambh karo aur rozana ved mantron se hawan kiya karo. Vidya ko acharann mein lane par hee gyan prapt hota hai. Kewal shabdon dwara gyan prapt nahi hota.

Mere dwara shraddhaluon ke prashanon ka uttar dene per yadi Ishwar kripa se unke sandeh door ho jaate hain tub bhi Ishwar ka niyam yeh hai ki sandeh door honey ke baad sadhak ko vedadhyayan, nitya Yajyen/hawan, naam simran aur yogabhyaas kiye bina Ishwar kee prapti, indriya sanyam, sukh aur shanti parpt nahi hogee. Arthat jeevan mein vedon ka shravann, manan aur acharann zaroori hai.