Janvi: Swamiji main yeh janna chahati hun ki jodiyan bhagwan banata hai ya koi aur?
Swami Ram Swarup: Jodian harek insaan ke pichhle aur present karmon ke phal ke anusaar bantee hain. Jaise Atharvaveda mantra 11/5/18 mein kaha “Brahamcharyein kanya yuvanam vindate patim” etc., mantra ka bhaav yeh hai ki yadi is janam mein bhee koi kanya achchhey vicharon walee hotee hai aur brahamcharya ka paalan kartee hai to usey gunnvaan deergh aayu wala pati prapt hota hai.

Yahi niyam purush par bhee laagu hota hai, iska matlab yeh hua ki pichhle janam mein kanya ya purush kuchh bheei karma karte they parantu is janam mein achchhey karma karne ke karann unhein achchha pati ya patni milee.

R A: Can I get principalship in my college in near future?
Swami Ram Swarup: Future is based on pious deeds, hard working towards a right path
and God helps those who help themselves. It depends on your hard working and pious deeds. One should worship God daily to get His blessings in every matter. Good job, education, richness, happiness etc., is the result of previous life’s pious deeds and present life’s hard working, dedication, devotion, hardworking, honesty etc. And in this life one should always also do real worship of God to finish the obstacles if any which may be due to previous life’s bad deeds. So
worship is always required along with hard working, devotion, dedication towards right path to get progress in the life.

Ranjit: Pujya swami ji, Aapke charno mein mera sadar pranaam. Main sanyas dikcha lena chahata hoon. iske liye aapse margdarshan chahata hoon. Aapse vinarm anurodh hai ki meri sahayata kijiye. iske liye main aapka sada aabhari rahunga. Aapka prempatra.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Sanyaas leine ke vishaye mein ek baar aapko yahaan ved mandir mein mere paas aana zaroori hai, vichar-vimarsh karne ke baad hee sayaas
leine ya na leine ka phisla liya jaata hai. hamein hamesha vedon ke anusaar chalna hai, ved ke khilaf kabhi nahin . atah aap yahaan ayein phir achhey tarah se soch vichar karein kyunki kuchh ghar ke kartavya hotey hain, kuchh aayu ka hisaab hota hai, kuchh vairagya vritti ka hisaab hota hai, itiyadi itiyadi. In sabhi par vichar karna hota hai. Vaise aapka sayaas leine ka vichaar bahut achha hai parantu is vishya par pehle soch vichar karna avashyak hai. Mera tumhein ashirwad.