Basant: Swami ji namaste Please mujhe vo mantra quote karke bataiye jismen ye likha ho ki tum Lokaishna chhod do. mujhe upnishad se quote nahi chahiye sirf Ved se chahiye. Main manne laga hun ki sukh kewal Lokaishna me hai. Yadi ved me ye spasht likha ho ki tum Lokaishna chhod do, to main jarur is par vichar karunga
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Lokaishna arthat sansarik bhog-padarthon ka bilkul tyag karna to vedon mein kahin nahin likha kyunki khana- peena, sona-chandi, vastra-makaan, gaadi, padna-likhna, krishi, neta banna, paushtik-satvik aahar ghee-dhooth, surya-chandrama kee roshni lene ityadi ke bina to shareer hee nahin rahega tub jeevatma bhi to shareer se nikal jayegee aur bina shareer ke to jeevatma punnyavaan ya koi bhi karma kar hee nahin saktee. Jeevatma ko shareer kee zaroorat hai. Isliye sansar ke bhog-padarth to usey chahiye hee. Yeh aaj ke ved-virodhi sadhuon ka joootha updesh hai ki sansar aur sansaar ke padarth mithya hain aur dhan ityadi kee zaroorat nahin, aur khud bori mein paise bhar-bhar kar bade bade ashram banakar aish walee zindagi jeetey hain kyunki inko vedon ka gyan nahin hai atah Ishwar dwara dand deney par is jeevan mein bhi dukhi rehtey hain aur mar kar bhi keet-patang kee yoni paakar dukhi rehtey hain, yeh Manusmriti shloka 2/168 mein bhi kaha hai.

Ab hum vichar kartey hain ki in bhog-padarthon ke vishaye mein Yajurved mantra 40/2 kya kehta hai. Mantra kehta hai:-

Kurvanneveha karmanni jijeevishechchhatam samaha.
Evam twayi naanyathetoasti na karam lipyate nare.

Arthat manushya is sansar mein vedanusar nishkaam shubh karma karte karte hee sau varsh jeeney kee ichchha karey arthat manushya vedon ka gyan lekar kewal vedon mein kahey shubh karma hee karey, ved-virudh paap karma na karey.

Yajurved mantra 40/1 mein kaha (Yat idam sarvam) jo yeh sampoornna srishti mein jad aur chetan jagat hai, weh (Isha vasya) arthat sub jagat Ishwar se dhaka hua hai arthat jagat ke kann-kann mein Ishwar vyapak hai. Isliye (tein tyaktein) hey! Manushya tu tyagpoorvak (bhunjeetha) bhogon ka bhog kar arthat manushya itni vedic sadhna karey ki uska chitta moh maya ityadi se hata rahey parantu sansar ke bhogon ka jeevan raksha aur dharamyukta karma karne ke liye upbhog karey kyunki aagey mantra mein kaha(kasyaswit dhanam) yeh dhan kiska hai arthat hamesha ke liye kisi ka bhi nahin hai. Kewal is jeevan ko chalane aur vedic shubh karma karne ke liye kuchh samay ke liye Ishwar nein diya hai. Punaha mantra mein kaha (ma gridhah) is dhan ka lalach mat karo, abhilasha mat karo.

Arthat itni lalach aur abhilasha mat karo ki kewal dhan batorney mein hee lagey rahein ki vedvidya aur usmein kahee bhakti, gyan aur upasana ko bhool jayein . Atah vedon mein lokaishna arthat lokik padarthon kee ichchha ka tyag nahin kaha apitu uska tyagpoorvak sadupyog karne ko kaha hai.
Jaisa ki upar samjhaya hai.

Kanishka: Chintan aur manan me kya antar hai?
Swami Ram Swarup: Chintan aur manan mein koi antar nahin hai.

Basant: Namaste swami ji bhogon me dukh hai to vedon me ye kyon likha hai ki Ten Tyakten bhunjitha ma gridhah kasya swiddhanam. bhogon me yadi dukh hai to hamen Sans lena bhi band kar dena chahiye. kyonki oxygen or carbon di oxide bhi padarth hi hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Ten tyaktein bhunjitha ka arth upar explain kar diya gaya hai.

Tyaktein ka arth hai tyagpoorvak Bhunjitha ka arth hai grahannn karna. Bhav yeh hai ki sansar ke bhog-padarthon ka tyagpoorvak bhog karna arthat sansar se chitta ko hataa kar sansar ke padarthon ka punnyavaan karmon ke liye bhog bhogna. Saans ko log isliye band nahin karte ki weh jeeney ka sahara hai yahi baat hai ki satvik bhojan, jal, vaayu etc., padarth bhi isliye grahann kiye jaate hain ki hamara shareer pusht rahey aur hum shubh karma karte rahein, ashubh karma kabhi na karein.