Rajeev: Swamiji pranam,my qstn 2 u is dharm ka humare jiwan me kya importance hai,dharm man na kyu jaruri hai? Hum apne dharm ki raksha kaise kare?nastik logo ko dharm ki rah par kaise laya jae?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Aaj kal dharma ke kai arth kiye jaa rahe hain lekin ved-shastron mein dharma ka arth Ishwar ke vedon mein updesh kiye hue shubh karmon (kartavyon) ko karne ka naam karma hai. Jaise Manusmriti shloka 2/6 aur Bhagwad Geeta shloka 3/15 mein kaha ki sabhi karmon ka uday vedon se hua hai. Ishwar nein koi anya dharma nahin banaya hai. Hum manushyon ke gurujanon nein hee hindu, muslim, sikh, Christian aadi dharma (mazhab) samay anusaar manushya ko (shiksha) deine ke liye banaye hain. Dharma manna isliye zaroori hai ki iske abhaav mein hum apne kartavya karma nahin jaan payeingey aur agyaanvash paap karmon mein lipta hokar dukhon ko amantrit kar batheinge.

Dharma ki raksha dharma par chalkar hee hotee hai. Hum ved vidya ko sunein aur apne kartavyon ko samajh kar jab uspar chalne lageingey to yahi dharma kee raksha hogee. Iseesey Charon taraf shanti sthapit hogee.

Dharma kee shiksha yadi pathshalaon mein anivarya ho jaye, doosra pratyeik ghar ka bada sadasya dharma ke vishye mein jaankari prapt karke aur shudh dharma kee shiksha auron ko bhi deine ka prayatna karey tab adhik se adhik nar nari ko dharmik banana sambhav ho sakta hai lekin karya bahut kathin hai aur is vishye mein yahi kaha hai ki alasya chod, kar yadi hum purusharathi hon to Ishwar hamaree madad karta hai.

Deen: Dandvat Pranam. In which asan should pranayaam be done? Padmaasan or Sidhasan? Also what’s the difference between souls of plants and animals?
Swami Ram Swarup: Both asans are suitable for prannayam. But those who want to get their body up in the air then they should practice padamasan only.

Soul either in human or any other living body are similar i.e., have hundred percent same qualities i.e., no difference at all. However God is one but souls are unlimited living bodies.