Anupam: गुरुजी प्रणाम।क्या मौन परेशानी दूर करने मे कारगर हो सकता है।लोग कहते है थोड़ी देर स्वयं को विचार शून्य रखो हल्का महसूस करोगे।गुरुजी क्या महाभारत ग्रंथ मे कृष्ण द्वारा बांसुरी व मोरपंखी धारण करने का उल्लेख है।सुदामा के लिए कहा जाता हैकि कृष्ण ने उन्हें तीन पग भूमि देने के लिए नापी तो रूक्मणी ने चौथा पग नापने से रोक दिया था कि सारा दे दोगे तो अपने लिए क्या बचेगा।क्या सुदामा को श्री कृष्ण ने इसी रूप मे दान दिया था।श्री कृष्ण के भाई बलराम का नाम क्या दाऊ भी था।यूपी मे एक दाऊजी नाम का स्थान है वहां दाऊजी का मंदिर है।हमारे यहां जन्मदिवस आदि पर वहाँ पोशाख चढ़ाई जाती है मंदिर मे दाऊ की पत्नी रेवती भी है उन्हें दाऊजी की मूर्ति से अलग बनाया है उसके पीछे भी वहां के पुजारी कोई कहानी सुनाते है।क्या महाभारत मे इस प्रकार का कोई वर्णन है या ये सब पौराणिक ज्ञान है
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Maun pareshani door karne ka karan nahin ban sakta. Kyunki pareshani to mann mein uthtee hai aur mann apna karya karta rehta hai. Jub vedic sadhna se mann-buddhi aur Indriyon par sanyum hota hai, pareshaniyon ka tabhi ant hota hai. Jo log kehte hain, weh unka apna vichaar hai par Ishwar ne jo vedon mein gyan diye hai, kargar toh wahee hota hai.

Beti jo Sri Krishna Maharaj, Rukmanni aur Sudama kee baatein aapne likhee hai, yeh prammanik nahin hain, Mahabharat granth mein nahin hain. Prem se Balramjee ka naam dau rakh diya hoga parantu Mahabharat mein is naam ka varnnan nahin hai aur aage bhi jo aapne likha hai, yeh sab purrannon kee kathayein hain, Mahabharat kee nahin.

Anupam: गुरुजी प्रणाम।आपसे ज्ञात हुआ कि राम ने सीता का त्याग नही किया था और लव कुश का जन्म अयोध्या के महलों मैं हुआ था।गुरुजी मेरी बढ़ी बहन ने गीताप्रेस गोरखपुर की बाल्मीकि रामायण पढ़ी है वे कह रही थी कि उसमें तो लक्ष्मण द्वारा सीता के वन में छोड़े जाने व वहां बाल्मीकि आश्रम में उनके पुत्र पैदा होने का वर्णन है।गुरुजी ऐसा कैसे संभव है।मार्गदर्शन करें।संभव हो तो इस प्रश्न का उत्तर थोड़ा जल्दी भेज दे।सभी को उत्सुकता है।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Maine pehle bhi aapse kaha tha ki jo prammanik sachee ghatnayein hain, woh Valmiki Ramayan mein hai, lekin Valmiki Ramayan, Mahabharat aadi anek bhartiya sanskriti ke granthon mein logon ne asatya shlok jod diye hain. Ataha jo aapkee behenjee ne padaa, weh pramaanik shlok nahin hai, aap Jagdeeshwaraanand Saraswati ji kee vyakhya kee huee Valmiki Ramayan mangvaa lein-

M/S Vijay Kumar Hassanand, Nai Sadak, Delhi-110006.

The website of M/S Vijay Kumar Hassanand is –
www.vedicbooks.com

Maine bhi galat shlok add kiye hue Valmiki Ramayan padee hai jiskee shuruwaat hee galat hai. Satya Valmiki Ramayan ka pehle shlok-

“ Tapah Swadhyay Niritam Vaagvedaam varam……………………” yeh hai.

Aman: Parnam swami gi ..mera yeh sawal ha ki kya hanuman chalisa ki chanting karn powerful hai. Kya koi fayada ha isko padna ka sunana ka.kya exist karta ha yeh…plzz give me answer.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Hanuman Chalisa kee chanting ka varannan Valmiki ramayna mein nahin hai kyunki ved kehte hain ki jo mahapurush chale jaate hain woh hamein vidya daan nahi kar sakte aur doosra vedon mein kewal ek nirakar sarvavyapak , srishti rachyita aur srishti ko paalne wale God kee Pooja vedanusar hee karne ki agya hai aur aisa Parmeshwar kewal ek hee tha , ek hee hai, ek hee rahega.

Yajurved mein kaha is Ishwar jaisa na koi bhootkaal mein paida hua aur na hee kabhi bhavishyakaal mein paida hoga. Phir ek is Ishwar ko chhodkar hum doosre Ishwar kee Pooja kaise kar sakte hain jabki is ek Ishwar ke samaan doosra koi God na tha, na hai, na hoga.