Jiwesh: Shadar parnaam Guru ji hum me aapko kuch sawal mail kya tha 3/4 din paheli aap ka jawab ka intazar kar rha hu .. kahi aap mere sawal se naraz toh nahi hai na plz tel me im really worried i want to know so plz guru ji reaply me as soon as possiable i really just come out of all this bad thoughs thanking you Parnaam Guru ji
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Aap chinta na karein aap ke sawalon ke jawab de diya gaya hai. Kabhi kabhi jawab deiney mein deri avashya ho jati hai kyunki Ved Mandir mein adhyatmik kaam bahut zyada hain.

J K: PRANAM ACHARYAJI!!KYA HAMARI ACHANAK HONE WALI DEATH BHI HAMARE KARM KA PHAL HAI?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Har dukh sukh aur maut sabhi pichchle janam ke kiye hue karmon ka phal hai.

Deepak: Swamiji charan sparsh jo log kewal meditation kartey hai, kya unka rasta sahee hai , jese kuch guru chakro ka anubha karatey hai aur unke sadhak jeevan bhar meditiaon kartey hue life kaat dete hai, unke sadhak bhee daily samadhee avastha me pahuch jaate hai , to unko kuch aur karne kee jarurat nahee hai , thanks swamiji
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Jis bhagwan kee hum Pooja karte hain yadi hum vedanusaar us Bhagwan ke gunn, karma, Swabhav evam Swarup aadi ko nahin jaante to phir hum aisee Pooja ka kya phal prapt kareingey. Isliye sabse pehle hamein ved vidya sunkar Bhagwan ke Vishay mein jaanna hoga aur jab hum Ishwar ke gunn, karam, swabhav ko vedon ke anusaar jaan leingey to Ishwar kee stuti karte aur Yajyen karte hue hum Ishwar se prem bhi karne lag jayeingey. Uske baad bhi hum uska naam simran aur yogabhyaas aadi karke indriyan sanyum karte hue usey prapt kar sakte hain unyatha nahin.

Jahaan tak Samadhi ka sawal hai, weh to Yajurveda mantra 7/4 aur Yog shastra Sutra 2/29 ke anusaar Ashtang Yoga kee upar kahi sadhna ke anusaar hee prapt hotee hai, yeh ved ka pramaan hai. Apramannik baatein satya nahin hotee.

Nitesh: Please tell me natural method to cure pimples.
Swami Ram Swarup: Natural method is to take care of constipation and any kind of stomach disease, Should take plenty of water daily and take ayurvedic doctor’s advice.