Saadhak: Adarniy maharaj shree , charan sparsh . . . . Apki pustak ” brahmcharya dukh nivarak divya mani ” padhi . mere mann me kuch prashn hain , kripya samdhan kare ji . . . . . 1. Ritukaal (16 din) ke pratham 4 din – raat aur purnima , amavasya , ashtami , chaturdashi ke alaawa ritukaal ke inn 16 dino me se bache huye din hi kya samagam hetu yogya hai aur kya inn ritukaal ke 16 dino baad stri – purush sambandh nahi banana chahiye (kaam sukh prapti hetu na ki santan prapti hetu)?

2. Ritukal me samagam santan prapti hetu hi hota hai athava kewal kaam sukh prapti hetu bhi sambandh banaya ja sakta hai?
3. Vedon me santan prapti ke alawaa pati – patni ko sambandh banaana kya anuchit (paap ) mana hai ya uchit ?
4. Vedon me kam se kam pati- patni ko kitne din brahmacharya dharan karne ki agyaa hai ? 5. vaidic gyan – vigyan aur sadhnaa ke abhav , kami se yadi pati – patni me se koi ek toh brahmcharya palan karna chahe aur dusara na kare to kya karna chahiye , aisi sthiti me dusare ki kaam – sukh tripti ko pura karnaa adharm kaha jayega yaa nahi , aur uski ichhaa – purti na ho to kya uske dwara path brasht hokar vyabhichar jaise paap karm me bhi jane ki sambhavana ho sakti hai ?. . . . punah apke pavitra charnon me mera pranam.
Swami Ram Swarup: Hardik ashirwad, beta.

1.) 16 days baad sambandh nahin banana chahiye.

2.) Kewal santaan prapti hetu hota hai.

3.) Paap maana gaya hai.

4.) Jaise upar likha

5.) Doosre ko samjhao, yadi na samjhe to individually paap-punnya ko samjhakar punnyavaan nirnaye lena chahiye anyatha paap ka bhagi to banana hee padega.

जिज्ञासु:प्रिय गुरुदेव,कोटिश: चरण वन्दन l (1)भजन गाते हुए , गुनगुनाते हुए , उसके अर्थ मे डूब जाने पर आँखे क्यों भर आती है ? (2)विद्वान को जहाँ किसी की मृत्यु हो जाती है उस शोक – स्थल पर क्यों नही जाना चाहिये , क्या ऐसे स्थान पर जाकर लोगों का रुदन व दुखी संसार देखकर और मृत्यु को अवश्यंभावी मानकर उसमे वैराग्य का भाव जागृत नही होगा गुरुदेव ?
Swami Ram Swarup: Ashirwad.

1.) Aankhein bharna swabhavik hai.

2.) Vidwaan wahi hai jo her sthiti mein kewal ved kee aagya ka paalan karta hai. Mrityu hone par vidwan ko wahaan naa jaane kee ved kee aagya hai. Doosra, mrityu par na rone kee ved kee aggya hai aur jo nar-naari abhi ved kee shiksha nahi jaante athwa jo sunkar acharann mein bhi nahi laate, unhein mrityu par na rone kee shiksha dena vyarth ho jaata hai, kyunki weh samjhane par bhi royengey avashya.