Moin: Vedas says our creator is form less Bible preaches the same Quran will guide us the same. Why can’t u say follow Quran, because Quran is word of god as same as Vedas , but Quran is updated version among all the holy books because of its purity (not a single word is removed or added or replaced) so why can’t u follow Quran?
Swami Ram Swarup: Knowledge of Vedas is eternal and everlasting which we have followed. So, if somebody follow Quran Sharief and others follow Bible and so on then nobody should have any objection but must give respect to all religions and persons.

Anupam: Guruji pranam. Guruji apne 1 prashn ke utter me bataya hai ki yajurved ke ek mantra me hai ki snake aadi ghar me ghus aaye to inhe marne me pap nahi hai.guruji ved esa kyu keh raha hai.jeev hatya to jeev hatya hi kehlayegi.ese kaise vichare ki kise mare kise chhore.per ke niche cheete tak aane ko pap karm kehte hai.muslim log beef eating ka samarthan karte me kehte hai ki kuran me esa likha hai.to kya hum ye kahe ki saap adi ko maro ye ved ke anusar sahi hai.please clear kare.guruji aajkal badhi duvidhajanak sthati ho gai hai.me vedo ke gyan per puri tarah viswas karti hoo v usi anusar jeene ka prayas bhi karti hoo mera pariwar sanyukt pariwar hai.sabhi ke apne mat hai.abhi tak jo bhi ghar me poojan hota tha me usme sabhi jaisa karte the vaisa karti thi per ab sab agyanta ka pradarshan karna lagta hai.jaise kal hamare yaha gangaur ka brat hai.sabhi maida ke gune banaker sath baithker shivji parvati ki puja karte hai.ise suhag ke liye brat rakhna kehte hai.samajh nahi aa raha kya karoo.koi kuch alag kare to log use na samajhne ke karan aashcharya karte hai.guruji prashn agyanta se bhara hai.per phir bhi margdarshan kare please.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Jeev kee hatya hotee hee nahin hai, jeev avinashi hai, shareer ke system kee hatya hotee hai kyunki is shareer se paap kiye jaate hain to isko punishment dena God kee agya hai. Isee niyam se Sri Krishna Maharaj ne Arjun ko kaha tha ki Tumhare dada Bheeshma ka shareer kauravon ke saath milkar paap kar raha hai, isliye is shareer ko gira do. Saanp etc., ko maarne kee agya isliye hai ki weh tumhein ya hamein na maar de.

Kya koi ghar mein hatyaare ko rakhna pasand karta hai. Jub cheentee pair ke neeche aakar mar jaatee hai to yeh anjaane mein kiya maha paap kehlata hai, jiskee sazaa miltee hai. Lekin God ne kaha, jo rozana agnihotra karte hain, vedon ka Adhyayan karte hain etc., to weh is anjaane paap se mukta ho jaate hain.

Yaad rakho saanp etc., kisi bhi pashu, pakshi insect etc., ko unke sthaan par jaakar maarna paap hai, jaise jungle etc., mein jaakar unko maarna par yadi yahi saanp etc., aapke ghar mein aayein to apne bachaav ke liye inhein maarna paap nahi hai.

Jo aap vrat aur Pooja ke baare mein keh rahee hain, beti woh ved marg ke virudh hai, jhooth hai. Achchhey var ke liye to ved ne kaha hai, “Brahmacharyein Kanya Vindate Patim”
Arthat Brahmacharya aur Vedic gunn dharann karne walee kanya Jeevan mein gunnvaan pati ko prapt kartee hai. Sita mata ne Yajyen, Brahmacharya aur ved marg par chalkar hee SriRram ko prapt kiya tha etc., han! apne saas- sasur aur pati kee khushi ke liye unke sath baithkar formality sake Pooja mein shaamil ho saktee hain, parantu iska labh zaraa bhi nahi hoga kyunki yeh ved-virudh hai.